Namskar Doston Mera Naam hai Dk aur ye hai Vineet Infotech. Facebook, duniya ka sabse bada Social Networking site hai . Facebook kuch samay se Alag Alag Chhez try Kar Raha hai. Aur Hali main Mark Zukerburg ki Company ne Ek Latest Feature Facebook main Add Kar Diya Hai. "Mobile To-Up" Aap iske tahet Facebook se Hi Apna Mobile Number ko Recharge Kar Sakte Ho. ji ha dosto aap apne facebook account se mobile recharge kar sakte hai bas apko niche diye gaye steps ko follow karna hai .
also read
Kaise Kam Karta Hai ye??
1. Facebook se Aap recharge ka suvidha tavi payenge jab aapke pas latest Facebook app hoga. Menu button jo top of right corner me hai usse tap kijiye yani press kijiye. aur scroll karke mobile Top-up option ko click kijiye.
2. Uske bad ek screen aayega jisme
"Choose a plan and pay with your debit or credit card – it’s fast, secure and free" likha hoga. Aapko Top-up now pe click karna hoga. Dhyan rahe Facebook sirf ab MasterCard aur Visa support karta hai.
3. Uske bad aapko Apana mobile no. Enter karna padega. Facebook Automatically Aapka carrier chun lega, yani aap kis network me ho Facebook uska pata laga lega.
4. Aapko aapani plan choose karne ke liye browse plan pe click karna padega. Nahi to aap kisi amount dal sakte ho.
5. Recharge ke samay aapko ek OTP milega jisse aap recharge confirm kar sakte hain. Aap ek pin bhi add kar sakte hain jispar aapko recharge se pahle extra security milenge.
6. Agar apko recharge history dekhna hai to aap details log mein jaa ke dekh sakte hain.
Agar Apko ye post pasand Aaya to Aap share karen. Post par sujhav dene ke liye comment kijiye.
Filhal ke liye bas itnah Thnx for visiting Have A Good Day.
also read
I was surfing the Internet for information and came across your blog. I am impressed by the information you have on this blog. It shows how well you understand this subject. como espiar otro celular desde el mio
ReplyDelete