expr:class='data:blog.pageType'>

Thursday, 10 May 2018

Files ko hide kaise kare (100% working method )

Hello friends mai Vineet Singh aap sab ka swagat karta hu humare website VINEET INFOTECH pe aaj iss post me mai aapko btaunga ki aap kaise apne files jaise image videos etc ko hide kar sakte hai
dosto jaisa ki hum sab jante hai ki aaj kal android phones ka use kitna adhik ho gya hai aaj kal lagbhag sab k pass android phone hai aur sabke phone me kuch personal  files hote hai jinko vo dusro se share nhi karna chahta hai toh aise mein vo kya kare vo yahi karega ki apna phone vo kisi ko dega nhi but agar uske parents phone mangte hai toh use dena hoga aap logo k sath bhi abhi aisa problem hua hoga ya ho sakta hai par aapko tension lene ki koi jarurat nhi hai mai hu na aaj agar aap ye post pura padhte hai toh aap iss problem se bachne ka tarika jaan sakte hai toh chaliye dosto start karte hai aaj ka humara post android phone me files ko hide kaise kare

                       


also read

Facebook se apna mobile recharge kaise kare

Youtube se video kaise download kare (without any app)

Files ko hide kaise kare ----

step[1] sabse pahle aap es file manager app download kijiye vo aapko playstore pe mil jayega 

step[2] ab aap es file manager app ko open kijiye 

step[3] uss file ko select kijiye jisko aapko hide karna hai jaise maan lijiye ki aapko ek photo ko hide              karna hai  toh aap vo folder open kijiye jiss me vo photo stored hai 

step[4] aur ab aap uss photo pr long press kijiye long press karne par aapko 4-5 options show honge 

step[5] aapko RENAME option par click karna hai uss k baad ek  window show hoga niche                            screenshot ↓ dekhe 

                 

step[6] screenshot mein aap dekh rahe honge ki jo .png dikh raha hai uss ko extension kehte hai                      aapko bas ye change karna hai aap isko koi bhi naam de sakte hai jaise pnp ya fgh kuch bhi

step[7] bas aapka kaam ho gya hai ab aap k phone me ye image show nhi hoga


files ko unhide kaise kare ----

files ko unhide karne k liye bhi aapko same tarika use karna hai aap uper ke 5 steps ko follow kijiye 

step[6] aapko fir se usko .png kar dena hai aur bas aapka kaam hoya 

aap isi tarah kisi bhi files ko hide kar sakte hai 


Final words -----

I hope ki aapko mera ye post pasand aaya hoga aur agar aapko koi problem hoti hai toh aap comment me mujhe bataye mai aapki problem jarur solve karunga 






2 comments: